home decor

Tuesday, November 29, 2011

wall art

Assalamalaikum
Apne ghar ko khubsoorat banana kise acha nahi lagta...Jab aap apne ghar par pehli baarkhadam rakhte hain to  nazar sabse pehle deewaron par hi jaati hai..Furniture set karne se pehle aap deewaron ko sajaayen..Bahut saare aise bhi hai jo aap khud kar sakti agar aapke paas artistic mind hai to ..sabse pehle koi bhi base color paint kariye aur fir usi ka opposite color se aap koi acha design bana dijiye agar dark color as a base le rahi hai do koi bhi light color ke shade ka design bana degiye...ya fir neeche se ideas le sakti hai
















































Friday, November 25, 2011

preparation for jumuah

Assalamalaikum
Chahe humein friday ko zyaada kaam hota hai ya nahi magar hum jumuah ka ehtemaam poore dil se aur khushi se karna chahiye, sabse pehle humein jumuaah ka din special banana chahiye isiliye hum kuch activities pehle se hi prepare kardena chahiye
***jumaua ki shuruaat thursday ki maghrib se start hojaati hai aur khatam agli maghrib tak hojaati hai***
***koshish kariye ki surah kahf fajr ke baad padhlein kyunki yeh prophet muhammad(pbuh) ki sunnat hai***
***jitna ho sake safayi ka khayal rakhe kyun ki aap Allah ta ala se milne jaa rahe hai, ghusl karna sunnat hai, apne jism ka har hissa details mein saaf rakhe , ghair zaroori baal nikaal lein ,saaf kapde pehenle, iske alawa bhi oral hygiene ka bhi khyaal rakhle 4 minutes tak brush karen ya fir midwak kare***
***bure khayal ko dil se nikaal dein aur jitna ho sake poore dil se namaz ada karein***
*** dua dua dua jitna ho sake kasrath se dua karein sirf apne aap ke liye hi nahi jo aapke aas paas hai un sabhi logon ke liye dua kare***

Wednesday, November 23, 2011

Home made seekh kabab

Assalamalaikum
ye recipe maine bahut baar try kiya hai aur har baar yeh recipe hit rahi hai
ingredients
mutton mince-250 grms
gram flour-2 tbsp(roasted till golden color)
oil-2tbsp
green chillies-2
onions-2(roughly chopped)
coriander leaves-1tbsp
mint leaves-1tbsp
red chilly powder-1/2 tsp
cumin powder-1/2 tsp
corander powder-1/2 tsp
garam masala powder-1/2 tsp
ginger and garlic paste-1 tsp
salt-as per taste
Method
sab ingredients ko ek saath mix karle aur grind kardein
isko seekh mein laga kar kabab ke shape dein aur oven mein bake kardein
onions aur lemon ke saath serve karen

Monday, November 21, 2011

BEAUTIFUL BED COVERS

Assalamalaikum
Bed.....jahan par hum apne aise khwaab dekhte hain jo kabbhi poore hone ki tamanna rakhte hai. jahan par hum freely apne aap ko mehsoos karte hai...jahan par hamara saleeqa, pyaar, apnapan mehsoos hota. aur hum yaqeenan aisi jagah khoobsoorat banana chahenge aur apne comfort ka khyaal rakhenge bhi!!