home decor

Friday, November 25, 2011

preparation for jumuah

Assalamalaikum
Chahe humein friday ko zyaada kaam hota hai ya nahi magar hum jumuah ka ehtemaam poore dil se aur khushi se karna chahiye, sabse pehle humein jumuaah ka din special banana chahiye isiliye hum kuch activities pehle se hi prepare kardena chahiye
***jumaua ki shuruaat thursday ki maghrib se start hojaati hai aur khatam agli maghrib tak hojaati hai***
***koshish kariye ki surah kahf fajr ke baad padhlein kyunki yeh prophet muhammad(pbuh) ki sunnat hai***
***jitna ho sake safayi ka khayal rakhe kyun ki aap Allah ta ala se milne jaa rahe hai, ghusl karna sunnat hai, apne jism ka har hissa details mein saaf rakhe , ghair zaroori baal nikaal lein ,saaf kapde pehenle, iske alawa bhi oral hygiene ka bhi khyaal rakhle 4 minutes tak brush karen ya fir midwak kare***
***bure khayal ko dil se nikaal dein aur jitna ho sake poore dil se namaz ada karein***
*** dua dua dua jitna ho sake kasrath se dua karein sirf apne aap ke liye hi nahi jo aapke aas paas hai un sabhi logon ke liye dua kare***

No comments:

Post a Comment