Donut kise nahi pasand! bache to itne shauq se khaate hai, aaj kal to donuts mein variety hai uspar different types of topping hoti hai aur aapko pata hai ise ghar par bhi asaani se banaya jaata hai ,aisi hi ek recipe hai jo maine FB par dekhi hai aur yeh wahid ek aisi recipe hai jo kabhi fail nahi hoti
agar aap chahte hai apne husand ko karna impress to jaiye kitchen mein aur ye donut bana dijiye aur dekhiye aapke husband aapki kaisi tareef karte hai!
Ye taqreeban 8 se 9 donuts bante hai, iske liye humein chahiye
white flour(maida)-2 1/2 cups
sugar(cheeni)-3/4 cup
yeast(khameer)-2 1/2 tsp
a pinch of salt(namak)
oil(tel)-1/4cup
egg-1
milk(doodh)- for kneading
Sabse pehle aap yeast ko ek tsp sugar ke saath thode se garam paani mein mila kar rakhde
uske baad flour ko sift (chaan le) karle,fir usme salt,sugar dalkar mix karle, fir usme oil, egg, yeast mixture daalde, agar zaroorat pade to milk add karke achi tarah mix kardein.
phir usko cover karke taqreeban 1/2 n hour tak rakhde , aur jab ye double size ka hojayega to phirse achi tarah mix karen .fir usko roll kare 2 cm tak aur round Cut karen ya fir aap donut cutter se cut karein, phir aap usko ek tray mein 1/2 hour ke liye aise hi rakhdein woh size mein double hojayega.
ab aap medium flame par garam tel mein usko fry kare jab ye golden brown color ka hojayega to use nikaal lein aur fir melted chocolate mein dip karke pesh karen
agar aap home made icing dena chahti hai to aap ye tareeqa bhi istemaal kar sakti hai
powdered sugar(pisi hui cheeni) 1/2 cup
vanilla essence- 2 to 3 drops
cinnamon(darchini) powder- 1/4 tsp
water-very little
dry coconut(khopra)-just for sprinkle
in sabko acha mix karke paste ki tarah bana lein aur donut par lagayein aur dry coconut sprinkle kardein!
Umeed hai aap sabko pasand aayga
Alvida
No comments:
Post a Comment